Browse
Most Viewed
Top Rated
Most Recent
Category
All
Joke
Poem
Recipe
Other
Write your own
|
score: 9.9152
average: 10.0
on: Dec 23, 2009
ratings: 66
mere pyaarai papa
mere sabse achai papa
mann ki har muraad poori karne waale
mere sabse achai papaa
papa ki ungli pukad ke humnein chalna seekha
unkai kandho pe chad ke khelna seekha
unki mazboot chayaa mein reh kar
humnein jeevan ki har mushkil se bchna seekha
mere pyaarai papaa
mere sabse achai papaa
diin raat kaam woh kartai
humein jeevan ki saari khushiyaan detai
mere pyaarai papa
mere sabse achai papa
jinse humne sab kuch payaa
jisne humnein sab kuch sikhlaya
jisne harr pal saath humara nibhaaya
aise piitaa ko koti-2 pranaam meraa
mere pyaarai papa
mere sabse achai papa
Rate & comment on this.
score: 9.91392
average: 10.0
on: Nov 5, 2009
ratings: 65
Aao chelain phir naey manzil ki janib
Wo galyan aaj phir bulaty hain tumhain
Khara ho jo der per khamoosh sawali
Na ker mayoos usay, usnay manga hay sirf tumhain
Zindagy ki rah hay buhat kathin or hain isme buhat moord
Chelo sath qadam mila ker, na dain gay hum aazmaish tumhay
Na ker halkan to apni nanni se jaan Chanda
Nikal to kashmakash se dekh manzil bulaty hai tumhain
Rate & comment on this.
score: 9.91124
average: 10.0
on: Sep 6, 2010
ratings: 63
Me too would like to say something on mothers
But so much has already been said by others
I don’t now how to find my way
Why do my words look so away
I want to talk about this wonderful human being
Who is no doubt, the best gift of the nature wing
She came on this earth to allow continuity
By giving birth she assures the productivity
Being a fragile female, the man showed her weak gender
But she who give birth to the man, how could this be ponder
She is full of strength, sensitivity and wisdom
The queen of elegance and generous kingdom
For her children, she is full of love and care
Will fight on her path any hindrance or barrier
Her eyes see only the motherhood affection
Her blood and milk are the reflection
No doubts she is very powerful and great
And I am proud be one of them straight
I wish a very happy mother’s day to all the lovely mothers in this world
And pray to God to bless all the mums to stay shinny like gold
Mum.. it’s for you too ..luv you a lot and thanks for being such a wonderful Mum
Urs heer
:-pinks-:
Rate & comment on this.
score: 9.91124
average: 10.0
on: Jan 21, 2010
ratings: 63
~*~ dekho vo kaise rang badalta hai ~*~
dekho vo kaise rang badalta hai
kabhi isko kabhi usko pakadta hai
aaj hai kisi ka
kal tha kisi ka
kal hoga kisi ka
kal kisi ki aankho mei khoya hua tha
aaj kisi ke hath ko pakde hue hai
kal kisi ke daaman mei jakda hua hoga
jo ek pal kisi ka ho na sakta
vo zindagi bhar kisi ka
kaise ho payega
uske liye rishte badalana
hai jaise kapde badalna
nayi roshni ki taraf jab vo dekhta hai
purane diyo ko pao se vahi kuchalta hai
jo ek pal ruk nahi sakta
vo kaise sambhaalega kisi ko
jo ek pal chal nahi sakta
vo kaise rok payega kisi ko
khuda bas aqal de usko
sambhalay girne se khud ko
kaise samjhayegi usko 'mamta'
jisme kisi ka ho jane ki na ho kshamta
wid love n care .... Mamta...
Rate & comment on this.
score: 9.90747
average: 9.97368
on: Oct 24, 2009
ratings: 84
Sabko bhul jaata hu.
jab tumhare paas se gujarata hu.
mai khud ko nahi samjh paata hu.
jab bhi tumhare saath chalta hu.
tumhare bahon ke haar me khud ko mita dena chahta hu.
jub tumhe julfon ko savarate dekhata hu.
tumko paana aasan nahi bakhubi samajhata hu.
tumhare najuk hothon ko chhu lena chahta hu.
kyoki mai tumhe apna samjhata hu.
subko bhul jaata hu.
jab tumhare pass se gujarata hu...
Rate & comment on this.
score: 9.90688
average: 10.0
on: Jan 31, 2012
ratings: 60
तेरे बारे में जब सोचा नहीं था,
मैं तनहा था मगर इतना नहीं था
तेरी तस्वीर से करता था बातें,
मेरे कमरे में आईना नहीं था.
समंदर ने मुझे प्यासा ही रखा,
मैं जब सहेरा में था प्यासा नहीं था.
मनाने रूठने के खेल में हम,
बिछड़ जायेंगे ये सोचा नहीं था.
सुना है बंद कर ली आंखें उसने,
कई रातों से वो सोया नहीं था.
Rate & comment on this.
score: 9.90688
average: 10.0
on: Aug 1, 2010
ratings: 59
Dosto ki mehfil mein aaj phir se aaj hai sabkaa milnaa....
Bahuut dino baad hai ek dusrai se apnaa dukhh dard baantnaa
Laayai hain aaj hum dosto ke liyai khushiyon ki saugaat
Sab pran karengai jeevan bhar denai ka ek dusre ka saath
Laayai hain ek dusre ke liyai pyaar bharaa paigaam
Naa tootegaa ye saath humaara khushi ho ya gumm
Hotaa hai do dilo do aatmaon ka maill.......
Kho jaatein hain ek dusro mein essa jazbaato ka khel
Kehtai hain dosti jaroori hai jindagi ke liyai
Tabhi to aaj bhi jindaa hai aap jaise dosto ke liyai
Rate & comment on this.
score: 9.90688
average: 10.0
on: Jun 17, 2010
ratings: 59
~*~ In Ashko Ko Chupana Chahti Hoon~*~
In Ashko Ko Chupana Chahti Hoon
Teri Yaad Ko Dil Se Mitana Chahti Hoon
Tujhe Dekh Kar Jo Mujhe Ehsas Hota Hai
Mai Us Se Ab Peechha Chhurana Chahti Hoon
Tumhari Yaado Se Tumhari Baato Se
Ab Mai Bahut Door Jaana Chahti Hoon
Khayalo Ki Duniya Se Khwabo Ki Duniya Se
Ab Mai Bahar Nikalna Chahti Hoon
Thak Gayi Hoon In Kaanto Bhari Raah Pe Chalte Chalte
Ab Mai Kuchh Der Aaram Karna Chahti Hoon
Par Kaise Bhula Doon Ae Dil_E_Nadan Us Ko
Jisay Mai Itna Chahti Hoon…….
wid luv n care ... Mamta...
Rate & comment on this.
score: 9.90688
average: 10.0
on: May 4, 2010
ratings: 60
~*~ Jab Ham Tumse Kahin Dur Chale Jaayenge~*~
Jab Ham Tumse Kahin Dur Chale Jaayenge
Wada Hai Ki Tumhe Bohut Yaad Aayenge
Abhi Nahi Hai Waqt Tumhe Hamse Milne K Liye
Tab Tumhe Saare Bite Pal Yaad Aayenge
Karoge Dua Khuda Se Ek Mulakat K Liye Bhi
Par Tab Tak Ham Bohut Dur Chale Jaayenge
Meri Har Arzoo Jo Hoti Hai Tumse Puri
Bas Unhi Yaadon K Pal Saath Reh Jaayenge
Abhi Hai Pal To Jee Lo Kuch Pal Bhi Saath Mere
Jab Chale Jaayenge Ham To Tadapte Hi Reh Jaayenge
Doge Aawaj Kabhi To Ham Na Laut Paayenge
Shayad Tab Tak Hamare Laut Aane K Har Raaste Band Ho Jaayenge
Karti Hoon Gujarish Tumse Na Hone Do Mujhe Apne Se Juda
Jo Gaye Bichad Tumse Ek Baar To Fir Kabhi Na Ham Mil Paayenge
wid luv n care .... Mamta....
Rate & comment on this.
score: 9.90688
average: 10.0
on: Dec 8, 2009
ratings: 60
~*~ Mera Hee Naam ~*~
Maine ussayek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne CHAND likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara AASMAAN likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne QAYAMAT KI SHAAM likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne MUHABBAT KA ANJAAM likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..MERA HEE NAAM likh ke bhejaa…
WID LOVE N CARE .... MAMTA .....
Rate & comment on this.
score: 9.90688
average: 10.0
on: Oct 25, 2009
ratings: 60
Ek tha Deewana dunya se begana
Khuwaboo se thi jis ko muhabbat
Dunya se thu jisko shikayat
Sochta tha wo zindagy buhat door tak
Ye chand bhi uska ye taray b uskay
Ye zameen bhi uski or falak bhi uska
Wo jo roshni ka dia uska
Wo chand tha chodweee'n ka kabhi uska
Wo phool uska wo kaanta uska
Wo jo darya uska samandar uska
Khuwab dekha usnay ek shehzadi ka
Kehta tha wo usko phool si gurya
Bena k usko apni ibadat
Poojta tha wo usko Sar se Paa tak
Wo samandar jiska kinara na tha
Wo hawa jisko koi ishara na tha
Khuli jo aankhain us deewanay ki
Na pa saka wo apni gurya
Na kho saka wo apni gurya
Na jo ker saka uski ibadat
Zakhni zindagy jo bachi uski ab
Chel dia wo dunya k sath phir Ali
Jo tha deewana dunya se begana
Rate & comment on this.
score: 9.90611
average: 9.9375
on: Oct 14, 2009
ratings: 177
AYE WAQT...............!
Aaj kiya phir se zikr kisi ne tumhara
Halke halke aye waqt tum yaad aane lage
Thama dil ko bahut behlaya bhi bahut
Aye waqt tum mujhe kyu rulaane lage
Palko ke darwaje ko band kiya maine jab
Aur aansu ban kar har lamhe gujarne lage
Bebasi itni ki fir se ham seham gaye
Bar bar rabba mere rabba mere kahne lage
Kabhi wada kiya tha jo taqdeer se
Aaj har kasme har wade yaad aane lage
Teri hi dhoop chhaw me guzare din
Har pal mujhe ab to tadpaane lage
Milke jo aansu bahaye the hamne
Aaj ham sath sath us dariya me bahne lage
Rate & comment on this.
score: 9.90534
average: 10.0
on: Sep 1, 2010
ratings: 58
Aaj ke din hogea khush ye dil
Hai ounka janam jo laya dunya main pyaar ki jheel
Kehete hain ounko Radha ka Krishan
Mante hain ounko Meera ka Mohan
Tha sirf mann main pyar ka sandesh
Issliye pujte hain ounko desh pardesh
Aaj mile woh khaas pyaar aap ko
Ye hai hamari shubh kamna sab ko......
Aap ki Pinks
Rate & comment on this.
score: 9.90534
average: 10.0
on: Dec 20, 2009
ratings: 58
~*~ Be ikhtiyaar hi ek shakhs yaad bahut aa jata hai~*~
Mujh se khafa ho ke chup chaap sa beth jata hai
Khud bhi jalta hai mujhe bhi saath jalata hai
Us ko manate huye mein khud hi rooth jau toh
Phir mere paas aa ke raat bhar mujhe manata hai
Khud hi sawal kar ke khud hi jawab deta hai
Phir mere seeney se lag ke khud hi gungunata hai
Us ek pal ke sadqey mei meri her khushi qurbaan hai
Jab wo sher kehtey huye dheere se muskurata hai
Shab ka sitara lagta hai zindagi se piyara lagta hai
Meri baho mei aatey huye jab wo bahut sharmata hai
Meri yaad ke mausam ko palko pe sajaye rakhta hai
Beete huye her pal ki khabar mil kar mujhe batata hai
Mere bagair kaise guzri us ki kal ki raat
Us ki aankh ka phela kajal saari kahani sunata hai
Is shehar ke sawan mei barish ki raat jab aati hai
Be ikhtiyaar hi ek shakhs yaad bahut aa jata hai
wid love n care ....Mamta...
Rate & comment on this.
score: 9.90534
average: 10.0
on: Dec 6, 2009
ratings: 58
Dil ki Chokhat pe ek Deep jala rakha hai …………..
Dil ki Chokhat pe ek Deep jala rakha hai
Tere Laut aane ke liye ye saja rakha hai
Saans tak bhi nahin lete hain Tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur Haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi Tum ko Khafa rakha hai
Tum jise Rota hua chhorr gaye the ek din
Hum ne us Shaam ko Seeney se laga rakha hai
Chain lene nahi deta yeh kisi tor Mujhe
Teri yaadon ne jo Toofaan utha rakha hai
Jane wale ne kaha tha k wo Laut ayega zaroor
Ek isi Aas pe Darwaza khula rakha hai
Tere jane se jo Dk Dhool uthi thi Ghum ki
Hum ne us Dhool ko Ankhon mai basa rakha hai
Rate & comment on this.
score: 9.904
average: 9.9726
on: Jul 18, 2009
ratings: 81
This poem is for all romantic friends and rain lovers..... thanks to Shadow giving inspiration and a big thanks to Timmy bro for editing and requesting sawan poem :-))
Ye saawan ka mahinaa
Ye kuch mast mausam
Ae jab barish rim jhim rim jhim
Kheel utha hai ye dil
Aur mann keheta hai aa pyaar mujse mil
Laata hai ye sawan kuch yaadon ki jhankar
Aur phir se jag uthaataa hai ye sara sansaar
Aajati hain wo bachpan ki yaadein
Woh miti ki khushboo aur haseen baatein
Aur Phir iss jawaani mein
Hojati hain Haseen baatein aur choti si raatein
Phir se lagti hai dil mein aag
Aur hojati hai tazaa tumhaari yaad
Mere pyaare doston ko fariaad hai
Iss khubsoorat mausam main mast hona hai
Gaatai rehena khushi kai geet
Miley tumse tumara pyaara meet
Ek ek pal barsat ka ho mazedaar
Aur dil main ho sirf pyaar
With luv,
Yours Pinks
Rate & comment on this.
score: 9.90374
average: 10.0
on: Jan 26, 2010
ratings: 57
Bachpan Ka ZAMANA Hota Tha
Khushio’n Ka KHAZANA Hota Tha
Chahat CHAAND Ko Pane Ki
Dil Titli Ka DEEWANA Hota Tha
Rone Ki Waja Na Hoti Thi
Hansne Ka BAHANA Hota Tha
Khabar Na Thi Kuch Subha Ki
Na Shaam Ka THIKANA Hota Tha
DAADI Ki Kahani Hoti Thi
Pariyo’n Ka FASANA Hota Tha
Gham Ki Zuban Na Hoti Thi
Na Zakhmo’n Ka PAIMANA Hota Tha
Barish Me Kaghaz Ki KASHTI
Har Mausam SUHANA Hota Tha
Wo Khel Wo SATHI Hote Thay
Har Rishta NIBHANA Hota Tha…
Rate & comment on this.
score: 9.90374
average: 10.0
on: Oct 26, 2009
ratings: 57
KAHAN GAYE TUM HUMKO CHHODKAR IS HAAL ME
BUS EK BAAR TUM DIKH JAO IS NAYE SAAL ME
AANKHO KE AANSU BHI SUKH GAYE TUMHARE DIDAR ME
AB TO DIL HI ROTA BUS AAPKE INTEJAAR ME
KAHAN GAYE TUM HUMKO CHHODKAR IS HAAL ME
BUS EK BAAR TUM DIKH JAO IS NAYE SAAL ME
DARTA HAI DIL BHI ROTE ROTE KAHI RUK NA JAYE
KHUDA KARE USSE PAHLE AAPKA DIDAR HO JAYE
USKE BAAD SANSE BHI RUK JAYE TO KOI GUM NAHI
KHUSI SE TO JAUNGA AAPKA DIDAR KARKE
KAHAN GAYE TUM HUMKO CHHODKAR IS HAAL ME
BUS EK BAAR TUM DIKH JAO IS NAYE SAAL ME
KAYION {KAYI} SAWAN AAYE AUR CHALE GAYE BAHAR ME
HUM TO RAH GAYE BUS AAPKE INTEJAAR ME
AB KE SAWAN AAP JARUR AAOGE YE MERA DIL KAHATA HAI
AB MAT TADPAAO TUM MUJHKO APNE INTEJAAR ME
KAHAN GAYE TUM HUMKO CHHODKAR IS HAAL ME
BUS EK BAAR TUM DIKH JAO IS NAYE SAAL ME
Rate & comment on this.
score: 9.90208
average: 10.0
on: May 9, 2010
ratings: 56
"माँ"
"माँ" शब्द के बिना अधूरा, "ॐ" नाद का उच्चारण !
"ॐ" नाद की तरंग में है , माँ का ही तो व्यतिकरण !!
ब्रह्मलोक में हुई संचरित,
सृष्टि का निर्माण किया !
अणु-अणु को अनुकंपित कर ,
कण-कण, प्राण-प्राण किया !!
माँ के ही इस अनुनाद से, व्याप्त हृदय में स्पंदन !
ॐ नाद की तरंग में है, माँ का ही तो व्यतिकरण !!
मैं में भी माँ ही निहित है,
माँ से ही मैं संस्कारित !
माँ से मैं का अनुबोध है,
माँ से ही मैं प्रस्तरित !!
सात सुरों की सरगम जैसा, मुख से माँ का संबोधन !
ॐ नाद की तरंग में है, माँ का ही तो व्यतिकरण !!
शेखर"सपन"
Rate & comment on this.
score: 9.90137
average: 9.96296
on: Nov 8, 2009
ratings: 90
Dosti shayad zindgi hoti hai,
Jo har dil mein basi hoti hai,
Waise to jee lete hai sabhi akele magar,
Phir bhi zarurat inki har kisi ko hoti hai..!!
Tanha ho kabhi to mujko dhundna,
duniya se nahi apne dil se poochna,
Aas pas hi kahi base rahte hai hum,
yaado se nahi saath guzare lamho se puchna..!!
Khawaish Hi Nahi Alfaaz Ki,
Chahat Ko To Zarurat Hai Bas Ehsaas Ki,
Paas Hote To Manzar Hi Kya Hota,
Door Se Khabar Hai Hume Aapki Har Saans Ki..!!
Dil jeet le wo jigar hum bhi rakhte hai,
katal kar de wo nazar hum bhi rakhte hai,
Aapse wada hai humara hamesha muskrane ka,
Varna aankho mein samundar hum bhi rakhte hai..!!
Pyar aa jaata hai aankhon mein rone se pehle,
Har khawaab toot jaata hai sone se pehle,
Ishq hai Gunah yeh to samajh gaye,
kaash koi rok leta yeh GUNAH hone se pehle..!!
Palakon se utha ke ye khawaab,
Sajaaye hai kadamon mein tere,
Samhaal ke rakhna kadam,
Kahi kuchal na jaaye khawaab ye mere..!!
Rate & comment on this.
|